Sifar se badhkar bhale kuchh faasla tay kiya ho,
Par samaa to aaj bhi pehla mulaqat ka sa lagta hai.
Safar jab itna dilchasp aur haseen maloom ho,
To dil manzil ki nahi lamhon ki tamanna rakhta hai.
***
Yaad jab kar rahe the humare saare haseen lamhon ko,
To zindagi ke in azeez tohfon ka koi hisaab na raha.
Nikhaar se aap ke sitaron ko pehle hi takleef kam na thi,
Par ab to waqt ko bhi apni rukh pe yakeen na raha.
***
Din guzar rahe hain, lekin jazbaat wohi hai,
Aap se mohabbat ka humara ehsaas wohi hai.
Waqt ne aap ko aur haseen banaya hai aise,
Ke aap ki ek ada par dhadkan ki raftaar wohi hai.

Yun hi waqt guzar jaata hai bemaqsad baaton mein,
Yun hi waqt guzar jaata hai bemaqsad baaton mein,
Na dil mein bebasi hai, na alfaazon mein koi nami.
Izhaar-e-ishq ki aas kahin chhupi to hai magar,
Muraadon ke kehkashan mein hai deewangee ki kami.
***
Khamosh reh gaye hum unhe saamne dekhkar bhi,
Dil ki kashmakash ne is zubaan ko rok diya tha.
Ummeed-e-mohabbat to shayad dono hi taraf thi,
Par jhoothi sharafat ne izhaar ko rok diya tha.
***
Ibteda-e-guftagu kaun kare is soch mein,
Khamoshi ka aalam yun hi kaayam reh gaya.
Alfaazon ki khoj mein waqt ho gaya rusva,
Ahsas bayaan na hue aur faasla reh gaya.
***
Kal jikra kar rahe the woh guzre waqt ki nadaniyon ka,Hum ne bhi kuchh adhoore paigam sunane ki koshish ki.
Ranjish nahi tha hume faaslon ki paabandiyon se,
Koi gustakhi na sahi to harf-e-khumaar ki koshish ki.
***
Gar izhaar-e-mohabbat ki kabhi koshish ki hoti,
To shayad aaj zindagi mein yun tanha na hote.
Ye mumkin tha ki naakamyabi hi haasil hoti,
Par baat taqdeer ki hoti, gunehgaar hum na hote.
Jab izhaar ka mauka tha, tab alfaaz na juta paaye,
Aabadi ki chaahat qafas mein hi band rah gayi.
Ab yeh aalam hai ki kaagaz ki koi kami nahi,
Par waqt ke saath armaanon ki syahi sukh gayi.
***
Aaj mehfil mein humne jo kahaani sunaai,
Woh asal mein haqeeqat to humari thi.
Maana ke kirdaaron ke naam humne badal diye,
Par shayad woh samjhe ye dastaan humari thi.
***
Unka jawaab humein maaloom tha,
Phir bhi haqeeqat se door bhaagte rahe.
Jaise woh raat thi amaavas ki,
Aur aasmaan mein chaand dhoondte rahe.
***
Jab bhi humein lagta hai ki ab woh koi baat kahenge,
Tab unki jhukti aankhein ye ummeed chura lete hain.
Par sunnewaala gar hum jaisa koi samajhdaar ho,
To woh khaamosh hi bahut kuchh keh jaate hain.
***
Humari aankhein unhe kab se dhoond rahi hain,
Par shayad inhe maayoos hi lautna padega.
Dil se unke liye jo awaaz nikli hai
Lagta hai use seene mein hi rokna padega.
***
Dard ka tohfa jo na-manzoor ho,
To mohabbat karna mana hai.
Jo inkaar ko kubul na kare,
Aisa ishq gunaah hai.